Song: Aur Is Dil Mein Kya Rakha Hai
Movie: Imaandaar (1987)
Lyricists: Prakash Mehra
Music Director: Kalyanji, Anandji
Singers: Asha Bhonsle, (Suresh Wadkar or Anwar ?)
Picturised on: Sanjay Dutt, Farah
-----LYRICS-----
aur is dil mein kya rakha hai
tera hi dard chhupa rakha hai
cheer ke dekhe mera dil to
tera hi naam likha rakha hai
pyaar ke afsaane sune the logon se
pyaar kya hota hai, yeh tune samjhaya
mila dil tujh se to khwaab dekhe aise
junoon jaane kaisa, jawaan dil pe chhaya
dil mein aisa dard utha, dil hogaya deewana
deewanon ne is duniya mein, dard ka naam dawa rakha hai
nigahon mein meri yeh surat hai teri
zindagi yeh meri amaanat hai teri
dhrakte seenay mein mohabbat hai teri
mohabbat yeh teri, ibaadat hai meri
tere siwa kuch yaad nahin hai, tu hi tu dil mein
dil ne yaar ki puja ki hai, pyaar ka naam khuda rakha hai
|